apnī kitāb-e-umr kā anjām likh diyā
pahle varaq pe maiñ ne tirā naam likh diyā
maiñ likhnā chāhtā thā koī phuul sī ġhazal
aur jab likhā to sirf tirā naam likh diyā
dil ne tire sivā na koī baat kī qubūl
sab kuchh ba-nām-e-gardish-e-ayyām likh diyā
rusvā.iyoñ ke moḌ pe tanhā khaḌā huuñ maiñ
apnā gunāh sab ne mire naam likh diyā
ham aise be-gharoñ ne jahāñ bhī kiyā qayām
ḳhat khīñch ke vahīñ pe dar-o-bām likh diyā
'ma.asūm' mujh ko is ne kiyā ā.ina-mizāj
lekin mire nasīb meñ ilzām likh diyā