Masoom Ansari

zindagi hi zindagi chaaron taraf hai

Masoom Ansari

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1949
zindagī hī zindagī chāroñ taraf hai
aañkh ho to raushnī chāroñ taraf hai
kyā zamīñ kyā āsmāñ kyā dasht-o-dariyā
aadmī kī bartarī chāroñ taraf hai
ek markaz par Thahartā hī nahīñ hai
zehn kī āvārgī chāroñ taraf hai
dekhiye to hai ujālā hī ujālā
sochiye to tīrgī chāroñ taraf hai
aañkh se ojhal tirā chehra hai lekin
ik alāmat sī tirī chāroñ taraf hai
kuchh na kuchh hai āj-kal meñ hone vaalā
ik mukammal ḳhāmushī chāroñ taraf hai
chhoḌ kar jaate ho ghar 'ma.asūm' sāhab
soch lo duniyā yahī chāroñ taraf hai
Top Urdushayar.com