har saañs mahaktā huā ehsās hai zinda
dil meñ tire milne kī abhī aas hai zinda
ashkoñ ne koī jis pe ibārat nahīñ chhoḌī
mahsūs ye hotā hai vo qirtās hai zinda
ab jaam nahīñ zahr kā pyāla hai zarūrī
pyāse ko gila hai ki abhī pyaas hai zinda
dhartī meñ jaḌeñ gaaḌ ke sar apnā uThā.e
bārish ke tasavvur meñ harī ghaas hai zinda
be-jān samajh kar jise vo chhoḌ gayā thā
'ma.asūm' vo tasvīr mire paas hai zinda