jañgal kī tarah phailā huā Dar sameT kar
maiñ jaanā chāhtā huuñ kahīñ ghar sameT kar
duniyā sameTne ke talabgār haiñ bahut
rakkhā hai maiñ ne ḳhud ko bhī aksar sameT kar
jī chāhtā hai rakh duuñ kisī roz aag par
ġham-hā-e-rozgār kā daftar sameT kar
kaaTī hai raat ham ne añdheroñ ke darmiyāñ
āñkhoñ meñ apnī sub.h kā manzar sameT kar
jīte-jī koī Daal gayā mere sar pe ḳhaak
apnā.iyat kī reshmī chādar sameT kar
'ma.asūm' āsmānoñ kī rakhte the jo ḳhabar
vo rauzanoñ meñ baiTh ga.e par sameT kar