mohabbat ke safar meñ be-ruḳhī se choT lagtī hai
jise ham pyaar karte haiñ usī se choT lagtī hai
zarūrat se ziyāda guftugū achchhī nahīñ lagtī
zarūrat se ziyāda ḳhāmushī se choT lagtī hai
mujhe be-ḳhvāb rātoñ se koī shikva nahīñ phir bhī
añdherā Dastā hai aur chāñdnī se choT lagtī hai
shikasta aur suunī khiḌkiyāñ āvāze kastī haiñ
guzartā huuñ maiñ jab is kī galī se choT lagtī hai
tumhāre saath bhī aisā ho to hairān mat honā
kisī se miltī hai rāhat kisī se choT lagtī hai
yahāñ sab apnī fitrat ke sabab pahchāne jaate haiñ
shikārī zehniyat ko sādgī se choT lagtī hai
kabhī hairān rah jaatā huuñ zālim kī jasārat par
kabhī 'ma.asūm' apnī buzdilī se choT lagtī hai