Masoom Ansari

main be-aman sahi phir bhi ye guman to hai

Masoom Ansari

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1949
maiñ be-amān sahī phir bhī ye gumān to hai
zamīñ hai paañv tale sar pe āsmān to hai
har ek lamha kisī tiir kā hai Dar lekin
maiñ mutma.in huuñ ki mere paroñ meñ jaan to hai
maiñ is tarah dar-o-dīvār se huuñ begāna
ki ghar nahīñ na sahī ghar kā ik nishān to hai
maiñ apnī kashtī-e-ummīd se nahīñ māyūs
phaTā purānā sahī phir bhī bādbān to hai
maiñ apnī zaat se bāhar nikal ke sochtā huuñ
nahīñ hai rabt magar merā ḳhāndān to hai
charāġh-e-jāñ kā muqaddar ho jo bhī ai 'ma.asūm'
havā ke sāmne masrūf-e-imtihān to hai
Top Urdushayar.com