Masoom Ansari

bahaar ban ke chaman ki faza mein shamil hai

Masoom Ansari

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1949
bahār ban ke chaman kī fazā meñ shāmil hai
ye kis ke jism kī ḳhushbū havā meñ shāmil hai
kabhī milā na koī guftugū huī jis se
vo kaun hai jo mirī har duā meñ shāmil hai
maiñ jitnā bach ke chalūñ utnā khīñchtā hai mujhe
ajab tilism-e-tamannā ḳhatā meñ shāmil hai
sunegā vo to yaqīnan javāb bhī degā
ye kaisā Dar hai jo merī sadā meñ shāmil hai
ilaaj ke liye bīmār ab kahāñ jaa.eñ
ki ek zahr yahāñ har davā meñ shāmil hai
banegī baat bhalā kis tarah vahāñ 'ma.asūm'
anā kā rañg jahāñ iltijā meñ shāmil hai
Top Urdushayar.com