bū-e-gul chāhte haiñ raqs-e-sabā chāhte haiñ
band kamroñ ke makīñ taaza havā chāhte haiñ
muflisī hosh uḌā detī hai insānoñ ke
ye nasha kam ho to daulat kā nasha chāhte haiñ
kab kahā ham ne kisī zohra-jabīñ kī hai talāsh
jo hameñ DhūñD sake us kā patā chāhte haiñ
ye bhī manzūr nahīñ chāñd ke bāshindoñ ko
ham ghanī raat meñ miTTī kā diyā chāhte haiñ
ham se nārāz haiñ sūraj kī shuā.eñ to raheñ
ham to bas raushnī-e-ġhār-e-hirā chāhte haiñ
sab ko miltā hai ye andāz-e-faqīrāna kahāñ
ham pareshāñ haiñ magar sab kā bhalā chāhte haiñ
jin kā sar dekh ke kaase kā gumāñ ho 'ma.asūm'
vo bhī is daur meñ dastār-e-anā chāhte haiñ