na maslahat na takalluf na inkisār kā hai
savāl TūTte rishtoñ ke e'tibār kā hai
uThā le haath meñ patthar agar sune koī
ajiib haal mire zehn kī pukār kā hai
had-e-nigāh se aage bhī manzileñ haiñ bahut
mirā irāda ġham-e-zāt se farār kā hai
sabhī chale ga.e ghar chhoḌ kar to kyā hogā
bachā.e shahr ko ye kaam shahryār kā hai
zarā haTe to paḌhūñ maiñ bhī vaqt kā chehra
nazar ke sāmne parda abhī ġhubār kā hai
faroġh kaise milā nafratoñ ko jab ki yahāñ
har ek aadmī ummīd-vār pyaar kā hai
ajiib chiiz hai ye arsa-e-tamannā bhī
jise bhī dekhiye qaidī isī hisār kā hai