Masoom Ansari

chehre se zindagi ki chamak KHatm ho gai

Masoom Ansari

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1949
chehre se zindagī kī chamak ḳhatm ho ga.ī
itnā hañse ki saarī lalak ḳhatm ho ga.ī
har rāsta kahīñ na kahīñ jaatā hai magar
chaltā gayā maiñ aur saḌak ḳhatm ho ga.ī
mujh se chhuḌā ke haath bahut ḳhush hai vo magar
ḳhush-rañg chūḌiyoñ kī khanak ḳhatm ho ga.ī
kis sañg-dil ḳhayāl ne sahmā ke rakh diyā
yak-laḳht aa.ine kī chamak ḳhatm ho ga.ī
phūloñ kī dilkashī meñ izāfa huā to hai
lekin ye kyā huā ki mahak ḳhatm ho ga.ī
shāḳh-e-gulāb lagtī hai Daalī babūl kī
mausam ke saath saarī lachak ḳhatm ho ga.ī
aaj us kā maiñ ne āḳhirī ḳhat bhī jalā diyā
'ma.asūm' umr bhar kī kasak ḳhatm ho ga.ī
Top Urdushayar.com