Ameer Imam

hai kaun kis ki zat ke andar likhenge hum

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
hai kaun kis kī zaat ke andar likheñge ham
nahr-e-ravāñ ko pyaas kā manzar likheñge ham
ye saara shahr ālā-e-hikmat likhe use
ḳhanjar agar hai koī to ḳhanjar likheñge ham
ab tum sipās-nāma-e-shamshīr likh chuke
ab dastān-e-lāsha-e-be-sar likheñge ham
rakkhī huī hai donoñ kī buniyād ret par
sahrā-e-be-karāñ ko samundar likheñge ham
is shahr-e-be-charāġh kī āñdhī na ho udaas
tujh ko havā-e-kūcha-e-dil-bar likheñge ham
kyā husn un laboñ meñ jo pyāse nahīñ rahe
sūkhe hue laboñ ko gul-e-tar likheñge ham
ham se gunāhgār bhī us ne nibhā liye
jannat se yuuñ zamīn ko behtar likheñge ham
Top Urdushayar.com