Ameer Imam

KHud ko har aarzu ke us par kar liya hai

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
ḳhud ko har aarzū ke us paar kar liyā hai
ham ne ab us kā saaya dīvār kar liyā hai
jaatī thī mere dil se jo tere āstāñ tak
duniyā ne us galī meñ bāzār kar liyā hai
de daad aa ke bāhar shah-e-rag se ḳhuuñ hamārā
us ne jo apnā chehra gulnār kar liyā hai
bas chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ko milte nahīñ haiñ aañsū
varna tirā murkkab tayyār kar liyā hai
hai vaj.h-e-kaj-kulāhī tauq-e-gulū hamārā
zanjīr-e-pā ko apnī talvār kar liyā hai
mahsūs kar rahā huuñ ḳhāroñ meñ qaid ḳhushbū
āñkhoñ ko terī jānib ik baar kar liyā hai
is baar vo bhī ham se inkār kar na paayā
ham ne bhī ab kī us se iqrār kar liyā hai
Top Urdushayar.com