Ameer Imam

kabhi to bante hue aur kabhi bigaDte hue

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
kabhī to bante hue aur kabhī bigaḌte hue
ye kis ke aks haiñ tanhā.iyoñ meñ paḌte hue
ajiib dasht hai is meñ na koī phuul na ḳhaar
kahāñ pe aa gayā maiñ titliyāñ pakaḌte hue
mirī fazā.eñ haiñ ab tak ġhubār-ālūda
bikhar gayā thā vo kitnā mujhe jakaḌte hue
jo shaam hotī hai har roz haar jaatā huuñ
maiñ apne jism kī parchhā.iyoñ se laḌte hue
ye itnī raat ga.e aaj shor hai kaisā
hoñ jise qabroñ pe patthar kahīñ ukhaḌte hue
Top Urdushayar.com