Ameer Imam

ab is jahan-e-barhana ka istiara hua

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
jo ab jahān-e-barhana kā isti.āra huā
maiñ zindagī tirā ik pairahan utārā huā
siyāh-ḳhūn Tapaktā hai lamhe lamhe se
na jaane raat pe shab-ḳhūñ hai kis ne maarā huā
jakaḌ ke sāñsoñ meñ tash.hīr ho rahī hai mirī
maiñ ek qaid sipāhī huuñ jañg haarā huā
phir is ke baad vo aañsū utar gayā dil meñ
zarā sī der ko āñkhoñ meñ ik sharāra huā
ḳhudā kā shukr mirī tishnagī palaT aa.ī
chalī ga.ī thī samundar kā jab ishāra huā
amiir imaam mubārak ho fat.h-e-ishq tumheñ
ye dard-e-māl-e-ġhanīmat hai sab tumhārā huā
Top Urdushayar.com