Ameer Imam

har aah-e-sard ishq hai har wah ishq hai

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
har āh-e-sard ishq hai har vaah ishq hai
hotī hai jo bhī jur.at-e-nigāh ishq hai
darbān ban ke sar ko jhukā.e khaḌī hai aql
darbār-e-dil ki jis kā shahanshāh ishq hai
sun ai ġhurūr-e-husn tirā tazkira hai kyā
asrār-e-kā.enāt se āgāh ishq hai
jabbār bhī rahīm bhī qahhār bhī vahī
saare usī ke naam haiñ allāh ishq hai
mehnat kā phal hai sadqa-o-ḳhairāt kyuuñ kaheñ
jiine kī ham jo paate haiñ tanḳhvāh ishq hai
chehre faqat paḌāv haiñ manzil nahīñ tirī
ai kārvān-e-ishq tirī raah ishq hai
aise haiñ ham to koī hamārī ḳhatā nahīñ
lillāh ishq hai hameñ vallāh ishq hai
hoñ vo 'amīr-imām' ki farhād-o-qais hoñ
aao ki har shahīd kī dargāh ishq hai
Top Urdushayar.com