ban ke saaya hī sahī saat to hotī hogī
kam se kam tujh meñ tirī zaat to hotī hogī
ye alag baat koī chāñd ubhartā na ho ab
dil kī bastī meñ magar raat to hotī hogī
dhuup meñ kaun kise yaad kiyā kartā hai
par tire shahr meñ barsāt to hotī hogī
ham to sahrā meñ haiñ tum log sunāo apnī
shahr se roz mulāqāt to hotī hogī
kuchh bhī ho jaa.e magar tere taraf-dār haiñ sab
zindagī tujh meñ koī baat to hotī hogī