rūdād-e-jāñ kaheñ jo zarā dam mile hameñ
us dil ke rāste meñ ka.ī ḳham mile hameñ
labbaik pahle ham ne kahā thā rasūl-e-husn
ho kār-zār-e-ishq to parcham mile hameñ
aa.e ik aisā zaḳhm jo bharnā na ho kabhī
ya.anī har ek zaḳhm kā marham mile hameñ
din meñ jahāñ sarāb mile the hameñ vahāñ
aa.ī jo raat qatra-e-shabnam mile hameñ
tum jaise aur log bhī hoñge jahān meñ
ye baat aur hai ki bahut kam mile hameñ
jab saath the to mil ke bhī milnā na ho sakā
jab se bichhaḌ ga.e ho to paiham mile hameñ
aur phir hameñ bhī ḳhud pe bahut pyaar aa gayā
us kī taraf khaḌe hue jab ham mile hameñ
jo umr-bhar kā saath nibhātā na mil sakā
vaise to zindagī meñ bahut ġham mile hameñ