yuuñ mire hone ko mujh par āshkār us ne kiyā
mujh meñ poshīda kisī dariyā ko paar us ne kiyā
pahle sahrā se mujhe laayā samundar kī taraf
naav par kāġhaz kī phir mujh ko savār us ne kiyā
maiñ thā ik āvāz mujh ko ḳhāmushī se toḌ kar
kirchiyoñ ko der tak merī shumār us ne kiyā
din chaḌhā to dhuup kī mujh ko salībeñ de gayā
raat aa.ī to mire bistar ko daar us ne kiyā
jis ko us ne raushnī samjhā thā merī dhuup thī
shaam hone kā mirī phir intizār us ne kiyā
der tak buntā rahā āñkhoñ ke karghe par mujhe
bun gayā jab maiñ to mujh ko taar taar us ne kiyā