Ameer Imam

chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaegi

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
chalte chalte ye galī be-jān hotī jā.egī
raat hotī jā.egī sunsān hotī jā.egī
dekhnā kyā hai nazar-andāz karnā hai kise
manzaroñ kī ḳhud-ba-ḳhud pahchān hotī jā.egī
us ke chehre par musalsal aañkh ruk saktī nahīñ
aañkh bār-e-husn se halkān hotī jā.egī
soch lo ye dil-lagī bhārī na paḌ jaa.e kahīñ
jaan jis ko kah rahe ho jaan hotī jā.egī
kar hī kyā saktī hai duniyā aur tujh ko dekh kar
dekhtī jā.egī aur hairān hotī jā.egī
kākul-e-ḳhamdār meñ ḳham aur aate jā.eñge
zulf us kī aur bhī shaitān hotī jā.egī
aate aate ishq karne kā hunar aa jā.egā
rafta-rafta zindagī āsān hotī jā.egī
jā chukīñ ḳhushiyāñ to ab ġham hijrateñ karne lage
dil kī bastī is tarah vīrān hotī jā.egī
Top Urdushayar.com