niiñd ke bojh se palkoñ ko jhapaktī huī aa.ī
sub.h jab raat kī galiyoñ meñ bhaTaktī huī aa.ī
dīda-e-ḳhushk meñ ik māhī-e-be-āb thī niiñd
chashma-e-ḳhvāb talak aa.ī phaḌaktī huī aa.ī
aur phir kyā huā kuchh yaad nahīñ hai mujh ko
ek bijlī thī ki siine meñ lapaktī huī aa.ī
aaj kyā phir kisī āvāz ne bai.at māñgī
ye mirī ḳhāmushī jo paañv paTaktī huī aa.ī
raat ghabrā ga.ī sūraj se kahā al-madade
vo ba-sad-nāz jo zulfoñ ko jhaTaktī huī aa.ī
ho ga.ī ḳhair tirā naam na aayā lab par
ek aahaT tirī ḳhushbū meñ mahaktī huī aa.ī
vaqt-e-ruḳhsat mirī āñkhoñ kī tarah chup thī jo yaad
ai mire dil tirī mānind dhaḌaktī huī aa.ī