Ameer Imam

ki jaise koi musafir watan mein lauT aae

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
ki jaise koī musāfir vatan meñ lauT aa.e
huī jo shaam to phir se thakan meñ lauT aa.e
na ābshār na sahrā lagā sake qīmat
ham apnī pyaas ko le kar dahan meñ lauT aa.e
safar tavīl bahut thā kisī kī āñkhoñ tak
to us ke baad ham apne badan meñ lauT aa.e
kabhī ga.e the havāoñ kā sāmnā karne
sabhī charāġh usī anjuman meñ lauT aa.e
kisī tarah to fazāoñ kī ḳhāmushī TuuTe
to phir se shor-e-salāsil chalan meñ lauT aa.e
'amīr' imaam batāo ye mājrā kyā hai
tumhāre sher usī bāñkpan meñ lauT aa.e
Top Urdushayar.com