Ameer Imam

kandhon se zindagi ko utarne nahin diya

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
kāñdhoñ se zindagī ko utarne nahīñ diyā
us maut ne kabhī mujhe marne nahīñ diyā
pūchhā thā aaj mere tabassum ne ik savāl
koī javāb dīda-e-tar ne nahīñ diyā
tujh tak maiñ apne aap se ho kar guzar gayā
rasta jo terī raah guzarne nahīñ diyā
kitnā ajiib merā bikharnā hai dosto
maiñ ne kabhī jo ḳhud ko bikharne nahīñ diyā
hai imtihān kaun sā sahrā-e-zindagī
ab tak jo tere ḳhāk-basar ne nahīñ diyā
yaaro 'amīr' imaam bhī ik āftāb thā
par us ko tīrgī ne ubharne nahīñ diyā
Top Urdushayar.com