un ko ḳhalā meñ koī nazar aanā chāhiye
āñkhoñ ko TuuTe ḳhvāb kā harjānā chāhiye
vo kaam rah ke karnā paḌā shahr meñ hameñ
majnūñ ko jis ke vāste vīrāna chāhiye
is zaḳhm-e-dil pe aaj bhī surḳhī ko dekh kar
itrā rahe haiñ ham hameñ itrānā chāhiye
tanhā.iyoñ pe apnī nazar kar zarā kabhī
ai bevaqūf dil tujhe ghabrānā chāhiye
hai hijr to kabāb na khāne se kyā usuul
gar ishq hai to kyā hameñ mar jaanā chāhiye
dānā.iyāñ bhī ḳhuub haiñ lekin agar mile
dhokā hasīn sā to use khānā chāhiye
biite dinoñ kī koī nishānī to saath ho
jān-e-hayā tumheñ zarā sharmānā chāhiye
is shā.irī meñ kuchh nahīñ naqqād ke liye
dildār chāhiye koī dīvānā chāhiye