har ek shaam kā manzar dhuāñ ugalne lagā
vo dekho duur kahīñ āsmāñ pighalne lagā
to kyā huā jo mayassar koī libās nahīñ
pahan ke dhuup maiñ apne badan pe chalne lagā
maiñ pichhlī raat to bechain ho gayā itnā
ki us ke baad ye dil ḳhud-ba-ḳhud bahalne lagā
ajiib ḳhvāb the shīshe kī kirchiyoñ kī tarah
jab un ko dekhā to āñkhoñ se ḳhuuñ nikalne lagā
banā ke dā.era yādeñ simaT ke baiTh ga.iiñ
ba-vaqt-e-shām jo dil kā alaao jalne lagā