aag ke saath maiñ bahtā huā paanī sunñā
rāt-bhar apne anāsir kī sunānī sunñā
dekhnā roz añdheroñ meñ shuāoñ kī numū
pattharoñ meñ kisī dariyā kī ravānī sunñā
vo suna.eñgī kabhī merī kahānī tum ko
tum havāoñ se kabhī merī kahānī sunñā
merī ḳhāmoshī mirī mashq hai is mashq meñ tum
maar kar tiir mirī tishna-dahānī sunñā
umr nā-kāfī hai is hijrat-e-avval ke liye
phir janam luuñ to mirī hijrat-e-sānī sunñā
kam-sinī par hai ajab haal tumhārā yaaro
sun lo āsān nahīñ us kī javānī sunñā
giit mere jo pasand aate haiñ itne tum ko
inhīñ gītoñ kī kabhī marsiya-ḳhvānī sunñā
kyā nayā tum ko sunā.ūñ ki nayā kuchh bhī nahīñ
na.e lafzoñ meñ vahī baat purānī sunñā