mazīd ik baar par bār-e-girāñ rakkhā gayā hai
zamīñ jo tere upar āsmāñ rakkhā gayā hai
kabhī tū chīḳh kar āvāz de to jaan jā.ūñ
mire zindān meñ tujh ko kahāñ rakkhā gayā hai
mirī nīndoñ meñ rahtī hai sadā tishna-dahānī
mire ḳhvāboñ meñ ik dariyā ravāñ rakkhā gayā hai
havā ke saath phūloñ se nikalne kī sazā meñ
bhaTaktī ḳhushbuoñ ko be-amāñ rakkhā gayā hai
magar ye dil bahaltā hī nahīñ go is ke aage
tumhāre ba.ad ye saarā jahāñ rakkhā gayā hai