vaqt kī intihā talak vaqt kī jast 'amīr-imām'
hast kī buud 'amīr-imām' buud kī hast 'amīr-imām'
hijr kā māhtāb hai niiñd na koī ḳhvāb hai
tishna-labī sharāb hai nashshe meñ mast 'amīr-imām'
saḳht bahut hai marhala dekhiye kyā ho faisla
teġh-ba-kaf haqīqateñ qalb-ba-dast 'amīr-imām'
zaḳhm bahut mile magar aaj bhī hai uThā.e sar
dekh jahān-e-fitna-gar terī shikast 'amīr-imām'
us ke tamām ham-safar niiñd ke saath jā chuke
ḳhvāb-kade meñ rah gayā ḳhvāb-parast 'amīr-imām'