vo apne band-e-qabā kholtī to kyā lagtī
ḳhudā ke vāste koī kahe ḳhudā-lagtī
yaqīn thī to yaqīñ meñ samā ga.ī kaise
gumān thī to gumāñ se bhī māvarā lagtī
agar bikhartī to sūraj kabhī nahīñ ugtā
tirā ḳhayāl ki vo zulf bas ghaTā lagtī
tire marīz ko duniyā meñ kuchh nahīñ lagtā
davā lage na raqīboñ kī bad-duā lagtī
huī hai qaid zamāne meñ raushnī kis se
bhalā vo jism aur us ko koī qabā lagtī
lagī vo tujh sī to aalam meñ munfarid Thahrī
vagarna aam sī lagtī agar judā lagtī