in ko ḳhalā meñ koī nazar aanā chāhiye
āñkhoñ ko TuuTe ḳhvāb kā harjāna chāhiye
vo kaam rah ke shahr meñ karnā paḌā hameñ
majnūñ ko jis ke vāste vīrāna chāhiye
hai hijr to kabāb na khāne se kyā husūl
gar ishq hai to kyā hameñ mar jaanā chāhiye
is zaḳhm-e-dil pe aaj bhī surḳhī ko dekh kar
itrā rahe haiñ ham hameñ itrānā chāhiye
dānā.iyāñ bhī ḳhuub haiñ lekin agar mile
dhoka hasīn sā to use khānā chāhiye
tanhā.iyoñ pe apnī nazar kar zarā kabhī
ai bevaqūf dil tujhe ghabrānā chāhiye
is shā.irī meñ kuchh nahīñ naqqād ke liye
dildār chāhiye koī dīvāna chāhiye