Ameer Imam

wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
vo mārka ki aaj bhī sar ho nahīñ sakā
maiñ thak ke muskurā diyā jab ro nahīñ sakā
is baar ye huā tirī yādoñ kī bhiiḌ meñ
har gaam ḳhud ko mil gayā maiñ kho nahīñ sakā
jaagā huuñ gahrī niind se lekin ajiib baat
ye lag rahā hai jaise ki maiñ so nahīñ sakā
ug aa.ī ghaas ishq ke malbe pe har taraf
ham donoñ meñ se koī use dho nahīñ sakā
jādū-nagar hai koī mirā andarūñ jahāñ
hotā rahā hai vo jo kabhī ho nahīñ sakā
Top Urdushayar.com