Ameer Imam

chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
chhup jaatā hai phir sūraj jis vaqt nikaltā hai
koī in āñkhoñ meñ saarī raat Tahaltā hai
champa.ī sub.heñ piilī do-pahreñ surma.ī shāmeñ
din Dhalne se pahle kitne rañg badaltā hai
din meñ dhūpeñ ban kar jaane kaun sulagtā thā
raat meñ shabnam ban kar jaane kaun pighaltā hai
ḳhāmoshī ke nāḳhun se chhil jaayā karte haiñ
koī phir in zaḳhmoñ par āvāzeñ maltā hai
raat ugaltā rahtā hai vo ek baḌā saaya
chhoTe chhoTe saa.e jo har shaam nigaltā hai
Top Urdushayar.com