Ameer Imam

ye kisi shaKHs ko khone ki talafi Thahra

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984
ye kisī shaḳhs ko khone kī talāfī Thahrā
merā honā mire hone meñ izāfī Thahrā
jurm-e-ādam tirī pādāsh thī duniyā saarī
āḳhirash har koī haq-dār-e-muāfī Thahrā
ye hai tafsīl ki yak-lamha-e-hairat thā koī
muḳhtasar ye ki mirī umr ko kaafī Thahrā
kuchh ayaañ ho na sakā thā tirī āñkhoñ jaisā
vo badan ho ke barahna bhī ġhilāfī Thahrā
jab zamīñ ghuum rahī ho to Thaharnā kaisā
koī Thahrā to Thaharne ke munāfī Thahrā
qāfiya milte ga.e umr ġhazal hotī ga.ī
aur chehra tirā buniyād-e-qavāfī Thahrā
Top Urdushayar.com