ġhubār-e-abr ban gayā kamāl kar diyā gayā
harī-bharī rutoñ ko merī shaal kar diyā gayā
qadam qadam pe kaasa le ke zindagī thī raah meñ
so jo bhī apne paas thā nikāl kar diyā gayā
maiñ zaḳhm zaḳhm ho gayā lahū vafā ko ro gayā
laḌā.ī chhiḌ ga.ī to mujh ko Dhaal kar diyā gayā
gulāb-rut kī deviyāñ nagar gulāb kar ga.iiñ
maiñ surḳh-rū huā use bhī laal kar diyā gayā
tū aa ke mujh ko dekh to ġhubār ke hisār meñ
tire firāq meñ ajiib haal kar diyā gayā
vo zahr hai fazāoñ meñ ki aadmī kī baat kyā
havā kā saañs lenā bhī muhāl kar diyā gayā