koī an-dekhī fazā tasvīr karnā chāhiye
ḳhvāb kī buniyād par tāmīr karnā chāhiye
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ vāhimoñ ke darmiyāñ
gard lipTī ruuh kī tathīr karnā chāhiye
jin dinoñ dīvāngī Thahrī huī ho zaat meñ
ek duniyā un dinoñ tasḳhīr karnā chāhiye
jis sadā meñ sau tarah ke rañg jhilmil karte hoñ
vo sadā har haal meñ tasvīr karnā chāhiye
jald-bāzī de ga.ī hai rat-jagoñ ke silsile
faisle meñ thoḌī sī tāḳhīr karnā chāhiye
ab bagūle mujh meñ haiñ aur maiñ bagūloñ meñ 'ḳhayāl'
dasht meñ dīvāngī zanjīr karnā chāhiye