jis samay terā asar thā mujh meñ
baat karne kā hunar thā mujh meñ
sub.h hote hī sabhī ne dekhā
koī tā hadd-e-nazar thā mujh meñ
maañ batātī hai ki bachpan ke samay
kisī aaseb kā Dar thā mujh meñ
jo bhī aayā kabhī vāpas na gayā
aisī chāhat kā bhañvar thā mujh meñ
maiñ thā sadiyoñ ke safar meñ 'ahmad'
aur sadiyoñ kā safar thā mujh meñ