junūñ ko raḳht kiyā ḳhaak ko libāda kiyā
maiñ dasht dasht bhaTakne kā jab irāda kiyā
maiñ nāsehān kī suntā huuñ aur Tāltā huuñ
so qurb-e-husn chhuTā aur na tark-e-bāda kiyā
mahakte phuul sitāre damaktā chāñd dhanak
tire jamāl se kitnoñ ne istifāda kyā
hazār rañg meñ jalva-numā thā husn-o-jamāl
dil aur shoḳh huā us ko jitnā saada kiyā
vo de rahā thā talab se sivā sabhī ko 'ḳhayāl'
so maiñ ne dāman-e-dil aur kuchh kushāda kiyā