Ahmad Khayal

zindagi KHauf se tashkil nahin karni mujhe

Ahmad Khayal

1979
zindagī ḳhauf se tashkīl nahīñ karnī mujhe
raat se zaat kī takmīl nahīñ karnī mujhe
kisī darvesh ke hujre se abhī aayā huuñ
so tire hukm kī tāmīl nahīñ karnī mujhe
chhoḌ dī dasht-navardī bhī ziyāñ-kārī bhī
zindagī ab tirī tazlīl nahīñ karnī mujhe
dil ke bāzār meñ zanjīr-zanī honī nahīñ
aañkh bhī aañkh rahe jhiil nahīñ karnī mujhe
maiñ ki ilhād ke girdāb meñ aayā huā huuñ
ab kisī ilm kī tahsīl nahīñ karnī mujhe
laḌte rahnā hai tasalsul se mujhe sub.h talak
aur talvār bhī tabdīl nahīñ karnī mujhe
Top Urdushayar.com