dasht o junūñ kā silsila mere lahū meñ aa gayā
ye kis jagah pe maiñ tumhārī justujū meñ aa gayā
vo sarv-qāmat ho gayā hai dekhte hī dekhte
jaane kahāñ se zor sā us kī numū meñ aa gayā
bas chand lamhe pesh-tar vo paañv dho ke palTā hai
aur nuur kā sailāb sā is aabjū meñ aa gayā
chāroñ taraf hī titliyoñ ke raqs hone lag ga.e
tū aa gayā to baaġh saarā rañg-o-bū meñ aa gayā
maiñ jhūmte hī jhūmte 'ahmad' tamāshā ban gayā
jab aks us ke raqs kā mere subū meñ aa gayā