maiñ vahshat-o-junūñ meñ tamāshā nahīñ banā
sahrā mire vajūd kā hissa nahīñ banā
is baar kūza-gar kī tavajjoh thī aur samt
varna hamārī ḳhaak se kyā kyā nahīñ banā
soī huī anā mire aaḌe rahī sadā
koshish ke bāvajūd bhī kaasa nahīñ banā
ye bhī tirī shikast nahīñ hai to aur kyā
jaisā tū chāhtā thā maiñ vaisā nahīñ banā
varna ham aise log kahāñ Thahrte yahāñ
ham se falak kī samt kā ziina nahīñ banā
jitne kamāl-rañg the saare liye ga.e
phir bhī tire jamāl kā naqsha nahīñ banā
rokā gayā hai vaqt se pahle hī merā chaak
mujh ko ye lag rahā hai maiñ puurā nahīñ banā