Ahmad Khayal

koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein

Ahmad Khayal

1979
koī hairat hai na is baat kā ronā hai hameñ
ḳhaak se uTThe haiñ so ḳhaak hī honā hai hameñ
phir ta.alluq ke bikharne kī shikāyat kaisī
jab use kāñch ke dhāgoñ meñ pironā hai hameñ
uñgliyoñ kī sabhī poroñ se lahū ristā hai
apne dāman ke ye kis daaġh ko dhonā hai hameñ
phir utar aa.e haiñ palkoñ pe sisakte aañsū
phir kisī shaam ke āñchal ko bhigonā hai hameñ
ye jo aflāk kī vus.at meñ liye phirtī hai
is anā ne hī kisī roz Dubonā hai hameñ
Top Urdushayar.com