Ahmad Khayal

dariya mein dasht dasht mein dariya sarab hai

Ahmad Khayal

1979
dariyā meñ dasht dasht meñ dariyā sarāb hai
is puurī kā.enāt meñ kitnā sarāb hai
rozāna ik faqīr lagātā hai ye sadā
duniyā sarāb hai are duniyā sarāb hai
muusā ne ek ḳhvāb-e-haqīqat banā diyā
vaise to gahre paanī meñ rasta sarāb hai
puurī tarah se haath meñ aayā nahīñ kabhī
vo husn-e-be-misāl bhī aadhā sarāb hai
khultā nahīñ hai ret hai paanī ki aur kuchh
merī nazar ke sāmne pahlā sarāb hai
suraj kī tez dhuup meñ dhoka har ek shai
kaalī ghaTā sī raat meñ saaya sarāb hai
Top Urdushayar.com