Ahmad Khayal

ai tassub zada duniya tere kirdar pe KHak

Ahmad Khayal

1979
ai ta.assub zada duniyā tire kirdār pe ḳhaak
buġhz kī gard meñ lapTe hue me.aar pe ḳhaak
ek arse se marī zaat meñ ābād hai dasht
ek arse se paḌī hai dar-o-dīvār pe ḳhaak
vo ġhazāloñ se abhī siikh ke ram lauTā hai
baal haiñ dhuul meñ gum aur lab-o-ruḳhsār pe ḳhaak
mujhe palkoñ se safā.ī kī sa.ādat ho nasīb
Daal kar jaa.e huā roz dar-e-yār pe ḳhaak
ek ḳhutba jo diyā hazrat-e-zainab ne 'ḳhayāl'
aaj tak Daal rahā hai kisī darbār pe ḳhaak
Top Urdushayar.com