jaisī honī ho vo raftār nahīñ bhī hotī
raah is samt kī hamvār nahīñ bhī hotī
maiñ tahī-dast laḌā.ī ke hunar sīkhtā huuñ
kabhī is haath meñ talvār nahīñ bhī hotī
phir bhī ham log the rasmoñ meñ aqīdoñ meñ judā
gar yahāñ biich meñ dīvār nahīñ bhī hotī
vo mirī zaat se inkār kiye rakhtā hai
gar kabhī sūrat-e-inkār nahīñ bhī hotī
jis ko bekār samajh kar kisī kone meñ rakheñ
aisā hotā hai ki bekār nahīñ bhī hotī
dil kisī bazm meñ jaate hī machaltā hai 'ḳhayāl'
so tabī.at kahīñ be-zār nahīñ bhī hotī