Jamil Nazar

apne bare mein jab bhi socha hai

Jamil Nazar

Bareilly, Uttar pradesh, India

1925-1993
apne baare meñ jab bhī sochā hai
us kā chehra nazar meñ ubhrā hai
tajraboñ ne yahī batāyā hai
aadmī shohratoñ kā bhūkā hai
dekhiye to hai kārvāñ varna
har musāfir safar meñ tanhā hai
us ke baare meñ sochne vaalo
dekh lo ab ye haal apnā hai
kaun bandish lagā.e ḳhushbū kī
ishq fitrat kā ik taqāzā hai
yaad aa.ī hai jaane kis kis kī
lab pe jab zikr us kā aayā hai
fikr kī talḳhiyoñ meñ gum ho kar
aadmī be-sabab bhī hañstā hai
ārzūmand koī ho to kahūñ
mere dil meñ bhī ik tamannā hai
mere chehre pe jo likhā hai 'nazar'
ġhaur se kis ne us kī samjhā hai
Top Urdushayar.com