Jamil Nazar

rah-e-KHulus mein behtar hai sar jhuka rakhna

Jamil Nazar

Bareilly, Uttar pradesh, India

1925-1993
rah-e-ḳhulūs meñ behtar hai sar jhukā rakhnā
vo sar-kashīda agar hai to sar sivā rakhnā
yahī vo soch hai jis kī talāsh thī mujh ko
ye baat apne ḳhayāloñ se ab judā rakhnā
na qurb-e-zāt hī hāsil na zaḳhm-e-rusvā.ī
ajiib lagtā hai ab ḳhud se rābta rakhnā
tamām shahr ko ātish-kada banānā hai
diloñ kī aag salīqe se jā-ba-jā rakhnā
baḌā ajiib hai tahzīb-e-irteqā ke liye
tamām umr kisī ik ko ham-navā rakhnā
kamāl-e-hirs hai jazb-o-talab kī duniyā meñ
badan ko ruuh kī āvāz se judā rakhnā
buland kar ke zarā hausloñ kī dīvāreñ
diyā jalā ke havā ko charāġh-pā rakhnā
shikast-o-reḳht kī duniyā meñ zinda rahne kī
bikhar bikhar ke simaTne kā hausla rakhnā
ḳhud apnī zaat pe tanqīd ke murādif hai
kisī ke sāmne dānista ā.īna rakhnā
jise milī hai ye daulat vahī samajhtā hai
ajiib nemat-e-uzmā hai dil dukhā rakhnā
ho jab bhī jaanā kisī ke nigār-ḳhāne meñ
'nazar' ḳhayāl zarā ḳhadd-o-ḳhāl kā rakhnā
Top Urdushayar.com