hausle apne rahnumā to hue
hādse ġham kā aasrā to hue
be-vafā hī sahī zamāne meñ
ham kisī fan kī intihā to hue
vādi-e-ġham ke ham khañDar hī sahī
aane vāloñ kā rāsta to hue
kuchh to maujeñ uThī samundar se
be-sabab hī sahī ḳhafā to hue
un ko apnā hī ġham sahī lekin
vo kisī ġham meñ mubtilā to hue
ḳhud ko begāna kar ke duniyā se
chand chehroñ se āshnā to hue
ḳhanda-e-gul hue ki shola-e-jāñ
haal pe mere lab-kushā to hue
pattharoñ ke nagar meñ jā ke 'nazar'
kam se kam sañg-āshnā to hue