Jamil Nazar

wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha

Jamil Nazar

Bareilly, Uttar pradesh, India

1925-1993
vo mirī duniyā kā mālik thā magar merā na thā
maiñ ne is andāz par pahle kabhī sochā na thā
ek muddat tak rahā ḳhush-fahmiyoñ meñ mubtalā
ā.īne ke rū-ba-rū jab tak mirā chehra na thā
tohmatoñ ko ek aise ajnabī kī thī talāsh
jo kabhī ghar se nikal kar raah meñ Thahrā na thā
ho chukī thī shohrateñ rusvā.iyoñ se ham-kanār
bhuul jaatā maiñ jise vo sāneha aisā na thā
merī nazroñ meñ hai ḳhāka vo bhī husn-e-dost kā
jis ko logoñ ne abhī tak zehn meñ sochā na thā
maiñ uThūñ to rañg laa.eñ tazkaroñ ke silsile
log itnā to kaheñ ki aadmī achchhā na thā
log is andāz meñ dete haiñ duniyā kī misāl
maiñ to jaise tajraboñ ke daur se guzrā na thā
ik nayā ehsās dete haiñ vo ahl-e-sañg ko
aabrū ke saath rahnā shahr meñ achchhā na thā
kyā asar-andāz hotā us pe afsāna 'nazar'
lafz bhī māñge hue mafhūm bhī apnā na thā
Top Urdushayar.com