Matin Niazi

hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913

haa.e urdu ye siyāsat tirī jāgīr ke saath

koī 'ġhālib' taraf-dār koī 'mīr' ke saath

zindagī ek safar ḳhauf zanjīr ke saath

maut ik ḳhvāb-e-girāñ hashr ta.abīr ke saath

har adā husn mahfūz hai tāsīr ke saath

boltī chaltī thiraktī huī tasvīr ke saath

zabt had se guzar kar bhī duā kartā huuñ

shikva-bar-lab huuñ magar jazba-e-tāmīr ke saath

jānī-pahchānī huī shakl bhī mub.ham lage

zindagī ye fusūñ apnī tasvīr ke saath

ab to Thokar bhī lage to nahīñ uThtī jhankār

pahle āvāz thī har jumbish-e-zanjīr ke saath

dīda-e-said se āgāh na dil se vāqif

ajnabī kaun hai tarkash meñ tire tiir ke saath

apnī qismat ke jo mālik haiñ ye un se pūchho

rabt tadbīr ko hotā hai jo taqdīr ke saath

faiz-e-mausam sahī sehr-e-taġhayyur sahī

barq girtī hai magar aah tāsīr ke saath

apnī tasvīr se ik ishq hotā hai 'matīn'

ye junūñ aur fuzūñ hotā tash.hīr ke saath

Top Urdushayar.com