Matin Niazi

tanha tera KHuda nahin ai aashna-e-raaz

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
tanhā tirā ḳhudā nahīñ ai āshnā-e-rāz
terā bhī kārsāz hai merā bhī kārsāz
kyā kahiye rahguzār-e-mohabbat kī dāstāñ
jo dushman-e-sukūñ hai vo hai merā chārasāz
ai jān-e-mudda.ā mirī jannat mirī hayāt
terā ḳhayāl terī tamannā mirī namāz
naġhme bhī haiñ pasand mujhe soz bhī aziiz
sarmāya-e-vafā hai mirī zindagī kā saaz
kyā din dikhā.e dekhiye insāñ kī sar-kashī
sajdoñ se pā rahā huuñ jabīnoñ ko be-niyāz
paiġhām-e-zindagī hai mohabbat kī har adā
ya.anī gunāhgār-e-mohabbat hai pāk-bāz
insāniyat hai marg-e-musalsal se ham-kanār
māñgo duā hayāt rahe ġham se sarfarāz
ab tak haiñ yaad mujh ko vo paiham tajalliyāñ
kitnā nazar-navāz thā har manzar-e-hijāz
mujh ko 'matīn' naaz hai apne nasīb par
maiñ banda-e-nasīr huuñ maiñ ḳhādim-e-niyāz
Top Urdushayar.com