Matin Niazi

hum jo insan ke gham uThate hain

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
ham jo insāñ ke ġham uThāte haiñ
ḳhuub ko ḳhūb-tar banāte haiñ
zindagī ḳhvāb hī sahī lekin
ḳhvāb ta.abīr chhoḌ jaate haiñ
be-haqīqat masarratoñ ke liye
zindagī bhar fareb khāte haiñ
māñgte haiñ duā.eñ jiine kī
aur jiinā hī bhuul jaate haiñ
sochī-samjhī vahī tamannā.eñ
roz ḳhāke na.e banāte haiñ
aap se yaad aap kī achchhī
aap to ham ko bhuul jaate haiñ
kārvān-e-hayāt meñ ḳhud ko
har qadam ajnabī sā paate haiñ
jab bhī bantā hai koī shīsh-mahal
kitne ā.īne TuuT jaate haiñ
zehn-o-dil kī riqābateñ tauba!
kaise kaise ḳhayāl aate haiñ
dostī kyā hai ḳhud-satā.ī hai
sab 'matīn' apne kaam aate haiñ
Top Urdushayar.com